छोटी सी ये ज़िंदगी Chhoti Si Ye Zindagi Song by Manojj Negi - Read Lyrics
छोटी सी ये ज़िंदगी Chhoti Si Ye Zindagi Lyrics in Hindi
छोटी सी ये जिंदगी अरमान बहुत हैं
हमदर्द नहीं कोई इंसान बहुत हैं
दर्द ये दिल का किसको सुनाए?
जो दिल के करीब हैं वो अंजान बहुत हैंवक्त के मुसाफिर हैं सब यहां सफर में
कोई आगे है तो कोई पीछे खड़ा है
बदलती है करवटें, ये जिंदगी ना जाने कब
जीतता है वो ही, जो इसे लड़ा हैना जाने जिंदगी का ये कैसा दौर है?
दिल ये खामोश है बाहर कितना शोर है
शोर हैकभी खुशी है, गम कभी है
आँसूं तो कभी हंसी
मौत नाम शाम का है जिंदगी तो भोर हैजब भी सुलझाना चाहूँ जिंदगी के सवालों को
हर एक सवाल से ये और भी उलझती जाती है
क्या बेच कर के खरीदे हम फुरसत-ए-जिंदगी
हर रोज तो ये, एक नए सितम दे जाती हैगहरे हैं, गहरे हैं, ज़ख्म कितने गहरे हैं
कैसे ये बयान करें हम?
सब कुछ तो बिकता है
इस दुकान-ए-जिंदगी में
कोई तो खरीदे मेरे गम
गीतकार: धर्मेंद्र एहसास
Chhoti Si Ye Zindagi Lyrics in English
Chhoti Si Ye Zindagi Armaan Bahut Hain
Hamdard Nahi Koi Insaan Bahut Hain
Dard Ye Dil Ka Kisko Sunaaye?
Jo Dil Ke Kareeb Hain Wo Anjaan Bahut Hain
Waqt Ke Musafir Hain Sab Yahan Safar Mein
Koi Aage Hai To Koi Peeche Khada Hai
Badalti Hai Karwatein, Ye Zindagi Na Jaane Kab
Jeetta Hai Wo Hi, Jo Ise Lada Hai
Na Jaane Zindagi Ka Ye Kaisa Daur Hai?
Dil Ye Khamosh Hai Bahar Kitna Shor Hai
Shor Hai
Kabhi Khushi Hai, Gam Kabhi Hai
Aansoo To Kabhi Hansi
Maut Naam Shaam Ka Hai Zindagi To Bhor Hai
Jab Bhi Suljhana Chahoon Zindagi Ke Sawaalon Ko
Har Ek Sawaal Se Ye Aur Bhi Uljhti Jaati Hai
Kya Bech Kar Ke Khareede Hum Fursat-E-Zindagi
Har Roz To Ye, Ek Naye Sitam De Jaati Hai
Gehre Hain, Gehre Hain, Zakhm Kitne Gehre Hain
Kaise Ye Bayaan Karein Hum?
Sab Kuch To Bikta Hai
Is Dukaan-E-Zindagi Mein
Koi To Khareede Mere Gam
Written by: Dharmendra Ehsaas
Watch Chhoti Si Ye Zindagi Song on Youtube